Abbas Ali Khan Bekhud

ai kash na hota ye asar aah-e-rasa mein

Abbas Ali Khan Bekhud

Kolkata, West Bengal, India

1906-1969
ai kaash na hotā ye asar āh-e-rasā meñ
ik barhamī aatī hai nazar zulf-e-dotā meñ
dāḳhil jo huā halqa-e-taslīm-o-razā meñ
paatā nahīñ vo farq sazā aur jazā meñ
us anjuman-e-nāz meñ kyā kaam qazā kā
huuñ saikḌoñ andāz jahāñ ek adā meñ
me.arāj-e-mohabbat meñ huiiñ lāzim-o-malzūm
hai ek kashish merī vafā terī jafā meñ
sābit ye huā dard-e-mohabbat ke asar se
tāsīr duā meñ hai na tāsīr davā meñ
dil jhukte haiñ aise ki kabhī sar nahīñ uThte
ushshāq ne kuchh paayā hai naqsh-e-kaf-e-pā meñ
ik uqda hai jo khul nahīñ saktā hai kisī se
ye kis ne girah Daalī tire band-e-qabā meñ
'beḳhud' kā nishāñ pūchhte ho qāfile vaalo
ik gard sī uḌtī huī dekhā hai havā meñ
Top Urdushayar.com