Abbas Ali Khan Bekhud

naza ki saKHti baDhi un ko pasheman dekh kar

Abbas Ali Khan Bekhud

Kolkata, West Bengal, India

1906-1969
naza.a kī saḳhtī baḌhī un ko pashemāñ dekh kar
maut mushkil ho ga.ī jiine kā sāmāñ dekh kar
vo kabhī jab iltifāt-e-nāz se lete haiñ kaam
kaañp jaatā huuñ maiñ apne dil ke armāñ dekh kar
karte haiñ arbāb-e-dil andāza-e-josh-e-bahār
merā dāman dekh kar merā garebāñ dekh kar
vo na aglā bāġhbāñ hai ab na agle ham-safīr
yaad kartā huuñ qafas ko maiñ gulistāñ dekh kar
allāh allāh mujh sā aasī darḳhur-e-rahmat huā
rashk-e-zāhid to bhī hai ye qadr-e-isyāñ dekh kar
ai but-e-kāfir ma.āz-allāh ye terā shabāb
koī kāfir hī rahegā ab musalmāñ dekh kar
in butoñ ne mujh ko be-ḳhud kis qadar dhoke diye
sīdhā-sāda jaan kar mard-e-musalmāñ dekh kar
Top Urdushayar.com