Abbas Ali Khan Bekhud

kisi se ishq karna aur usko ba-KHabar karna

Abbas Ali Khan Bekhud

Kolkata, West Bengal, India

1906-1969
kisī se ishq karnā aur us ko bā-ḳhabar karnā
hai apne matlab-e-dushvār ko dushvār tar karnā
nahīñ hai maut par bhī iḳhtiyār ai vā-e-majbūrī
umīd-e-marg meñ mushkil basar karnā magar karnā
qafas meñ qaid karnā thā to bāl-o-par katarne the
sitam hai bāl-o-par rakhte hue bhī yuuñ basar karnā
jo par the māya-e-parvāz haiñ vaj.h-e-girāñ-bārī
ġhurūr-e-bāl-o-par karnā to mujh ko dekh kar karnā
banā kar jaur kā ḳhūgar ināyat kī nazar karnā
jafā kar shauq se tū zabt par mere na jā hargiz
shikāyat kyā mujhe ye kaam hai jab umr bhar karnā
jafā un kī vafā-parvar vafā merī jafā-parvar
vo un ko umr bhar karnā ye mujh ko umr bhar karnā

sar-e-rah pūchhte haiñ haal kyā kahiye ki mushkil hai
bayān-e-dard-e-dil karnā aur us ko muḳhtasar karnā
tavajjoh chārāgar kī bā.is-e-taklīf hai 'beḳhud'
izāfa hai musībat meñ davāoñ kā asar karnā
Top Urdushayar.com