shikāyat bevafā.ī kī na kar duniyā-e-fānī meñ
vafā kā naam baaqī hai faqat qisse kahānī meñ
jo marnā thā to āḳhir kyoñ na maut i javānī meñ
dil-e-zinda ko baiThā ro rahā huuñ zindagānī meñ
kisī ke gosha-e-abrū se kyā irshād hotā hai
koī kuchh arz kartā hai zabān-e-be-zabānī meñ
vufūr-e-shauq merā māne-e-dīdār thā varna
jhalak thī ḳhud-numā.ī kī sadā-e-lan-tarānī meñ
fusūn-e-shauq baḌh kar ho gayā afsāna-e-rañgīñ
jigar kā ḳhuun jab hal ho gayā ashkoñ ke paanī meñ
mohabbat hī ḳhudā-e-lam-yazal mālūm hotī hai
isī ko to baqā hāsil hai is duniyā-e-fānī meñ
chaman meñ zindagānī ke bahār aa.ī ḳhizāñ ban kar
mohabbat ne lagā.ī aag dil ko naujavānī meñ
ta.ajjub kyā agar mujh ko mohabbat phir javāñ kar de
jhalak hai husn-e-yūsuf kī zuleḳhā kī javānī meñ
jo dil meñ dard uThtā hai to 'beḳhud' sher kahtā hai
madad ashkoñ se miltī hai tabī.at ko ravānī meñ