shāyad nasīb bosa-e-nā'lain-e-yār ho
jo ḳhaak ho to ḳhāk-e-sar-e-rahguzār ho
sahrā ho sehn-e-bāġh ho yā kohsār ho
saaqī jahāñ pilā.e vahīñ par bahār ho
ham ḳhaak ho ga.e pa kudūrat nahīñ ga.ī
yārab kisī ke dil meñ na yuuñ bhī ġhubār ho
ulfat hai ġhair kī to suno tum na merā haal
rahm aa hī jā.egā tumheñ nafrat hazār ho
māyūsiyoñ pe bhī na huā mā.il-e-sukūñ
aisā bhī dil kisī kā na parvardigār ho
sab jāntā huuñ hazrat-e-nāseh pa kyā karūñ
dil par karūñ maiñ jabr agar iḳhtiyār ho
yuuñ to ḳhabar hai āmad-e-fasl-e-bahār kī
lekin nasīb meñ bhī to lutf-e-bahār ho
'beḳhud' kī be-ḳhudī bhī hai tere ḳhayāl meñ
terī ḳhudī nahīñ ki taġhāful-shi.ār ho