ġhair ke saath kabhī zikr hamārā na kareñ
ham ko bad-nām kareñ ishq ko rusvā na kareñ
dil ye kahtā hai muqaddar hai pareshāñ rahnā
aql kahtī hai ki ham zulf kā saudā na kareñ
kyā zarūrat hai balā un kī sañvāre gesū
ik nazar dekh leñ jis ko use dīvāna kareñ
kyā nahīñ jānte ham rañg-e-talavvun un kā
mehrbāñ paa.eñ bhī to arz-e-tamannā na kareñ
'beḳhud'-e-zār ko ab dekh ke jhuk jaatī haiñ
vo nigāheñ jo kabhī paas kisī kā na kareñ