aa.egā kah kar gayā thā phir magar aayā nahīñ
muntazir maiñ rah gayā vo lauT kar aayā nahīñ
ik nazar aayā nazar vo phir nazar se chhup gayā
phir nazar ko ik nazar bhī vo nazar aayā nahīñ
zindagī ke rāste par tai kiyā lambā safar
par safar meñ zindagī ke ham-safar aayā nahīñ
ek Dar aksar Darātā hai mujhe bhī aaj tak
aaj tak kyoñ dil meñ mere koī Dar aayā nahīñ
vo asar jis ke asar pe har asar ho be asar
ab talak terī ġhazal meñ vo asar aayā nahīñ
ye jo har sū tīrgī bikhrī huī hai is qadar
kyā tirī mahfil meñ ab tak 'bhāskar' aayā nahīñ