Bhaskar Shukla

na masjid hai koi na charch hai na koi mandir hai

Bhaskar Shukla

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1993
na masjid hai koī na charch hai na koī mandir hai
agar ghar hai kahīñ us kā to tere dil ke andar hai
zamāne kī nazar ko vo bhalā aa.e nazar kaise
na us kā rañg hai na ruup hai na koī paikar hai
parindoñ meñ chahaktā hai guloñ meñ vo mahaktā hai
hai us kī hī adākārī jo ye qudrat kā manzar hai
maiñ hindū huuñ musalmāñ tum ye haiñ insān kī bāteñ
vo hai ḳhāliq sabhī kā us ke aage sab barābar hai
hai andāza mujhe aage safar mushkil bahut hogā
magar jab ham-safar tū hai to phir kis baat kā Dar hai
Top Urdushayar.com