Hasrat Kamali

nazar us par fida hai jis ki tabani nahin jati

Hasrat Kamali

nazar us par fidā hai jis kī tābānī nahīñ jaatī
koī aalam ho jalvoñ kī farāvānī nahīñ jaatī
tasavvur se bhī un kī jalva-sāmānī nahīñ jaatī
paḌe haiñ laakh parde phir bhī uryānī nahīñ jaatī
namāz-e-āshiqī mujh par balā-e-nā-gahāñ guzrī
tumhāre āstāñ tak merī peshānī nahīñ jaatī
vajūd-e-zindagī ik khel hai do-chār lamhoñ kā
haqīqat aadmī se us kī pahchānī nahīñ jaatī
sitāroñ meñ bahāroñ meñ nazāroñ meñ hazāroñ meñ
vahī to ek sūrat hai jo pahchānī nahīñ jaatī
safīne āñsuoñ ke tairte rahte haiñ āñkhoñ meñ
kisī sūrat hamāre dil kī tuġhyānī nahīñ jaatī
tamannā ḳhuub jaane hai tabassum un ke hoñToñ kā
magar zer-e-tabassum fitna-sāmānī nahīñ jaatī
Top Urdushayar.com