aise bīmār kī davā kyā hai
jo batātā nahīñ huā kyā hai
kaun suntā hai is zamāne meñ
kis se kahiye ki iltijā kyā hai
lab-e-bīmār thartharāte haiñ
jhuk ke suniye zarā duā kyā hai
mujh ko jo dekhtā hai rotā hai
koī kyā jaane mājrā kyā hai
hazrat-e-ḳhizr bhī batā na sake
zindagānī kā mudda.ā kyā hai
dard par dūsroñ ke hans denā
ye bhī achchhā hai to burā kyā hai
faḳhr-e-ḳhātūn-e-hind hai 'ismat'
ham se pūchhe koī vafā kyā hai