Arshad Mahmood Arshad

zamin ki kokh se pahle shajar nikalta hai

Arshad Mahmood Arshad

Sargodha, Punjab, Pakistan

1975
zamīñ kī kokh se pahle shajar nikāltā hai
vo us ke ba.ad parindoñ ke par nikāltā hai
shab-e-siyāh meñ jugnū bhī ik ġhanīmat hai
zarā sā hausla andar kā Dar nikāltā hai
ki būḌhe peḌ ke tevar badalne lagte haiñ
kahīñ jo ghaas kā tinkā bhī sar nikāltā hai
phir us ke ba.ad hī detā hai kaam kī ujrat
hamāre ḳhuun se pahle vo zar nikāltā hai
vazīfa tujh ko batātā huuñ ek chāhat kā
jo qasr-e-zāt se nafrat kā shar nikāltā hai
kahānī likhtā hai aise ki us kā har kirdār
nikalnā koī na chāhe magar nikāltā hai
maiñ aise shaḳhs se 'arshad' gurez kaise karūñ
fasīl-e-dil meñ jo dastak se dar nikāltā hai
Top Urdushayar.com