milegā is kā mujhe kyā uThā ke laayā huuñ
purāne vaqt kā sikka uThā ke laayā huuñ
tumhārī tishnagī dekhī nahīñ ga.ī mujh se
maiñ apnī ok meñ dariyā uThā ke laayā huuñ
shab-e-siyāh meñ kuchh to mujhe suhūlat ho
kisī kī yaad kā taarā uThā ke laayā huuñ
jo ho sake to zarā muḳhtalif banā ab ke
maiñ qasr-e-zāt kā malba uThā ke laayā huuñ
ye pyaas ilm kī kuchh to bujhā.iye sāhab
baḌe jatan se maiñ basta uThā ke laayā huuñ
havāle dhuup ke jis ne mujhe kiyā ik din
usī ke vāste saaya uThā ke laayā huuñ
tamām ashk sarāboñ meñ Dhal ga.e 'arshad'
shikasta aañkh meñ sahrā uThā ke laayā huuñ