Arshad Mahmood Arshad

KHudi ke zoam mein aisa wo mubtala hua hai

Arshad Mahmood Arshad

Sargodha, Punjab, Pakistan

1975
ḳhudī ke zo.am meñ aisā vo mubtalā huā hai
jo aadmī bhī nahīñ thā vo ab ḳhudā huā hai
vo kah rahā thā bujhā.egā pyaas sahrā kī
mirā ik abr ke TukḌe se rābta huā hai
tumhārā tarz-e-bayāñ ḳhuub hai magar sāhab
ye qissa maiñ ne zarā muḳhtalif sunā huā hai
ye miTTī paañv mire chhoḌtī nahīñ varna
falak kā rāsta bhī sāmne paḌā huā hai
usī ke haath pe bai.at maiñ kar ke aayā huuñ
jo būḌhā peḌ kaḌī dhuup meñ khaḌā huā hai
ḳhirāj māñgtā hai mujh se ye badan merā
ki lauh-e-dil pe tirā naam bhī likhā huā hai
vo mujh ko dekh ke rasta badal gayā 'arshad'
zarā sī der meñ us ko ye jaane kyā huā hai
Top Urdushayar.com