Arshad Mahmood Arshad

kaTte hi Dor sans ki nam-o-numud KHak

Arshad Mahmood Arshad

Sargodha, Punjab, Pakistan

1975
kaTte hī Dor saañs kī nām-o-numūd ḳhaak
honā hai ek roz ye qasr-e-vajūd ḳhaak
TuuTā kisī kā dil jo girā dūsrī taraf
mīzān meñ paḌā tirā raḳht-e-sujūd ḳhaak
tajsīm kar rahā hai vo dast-e-kamāl se
ātish-parast dahriye muslim hunūd ḳhaak
is mahfil-e-tarab meñ nahīñ chāshnī koī
dil meñ ramaq na ho agar bazm-e-surūd ḳhaak
baḌhne lage haiñ chār-sū rasmoñ ke dā.ere
Thokar lagā ke paañv kī kar duuñ quyūd ḳhaak
ye qaum un hī rāstoñ pe chal paḌī hai phir
jin par huiiñ thiiñ ek din ād-o-samūd ḳhaak
siine meñ koī aag hai 'arshad' lagī huī
varna hamārī aañkh se uThtā ye duud ḳhaak
Top Urdushayar.com