marte hue vajūd kī hasrat tamām-shud
sāñsoñ se lipTī āḳhirī chāhat tamām-shud
dast-e-qazā baḌhā hai mirī samt alvidā.a
ai etikāf-e-ishq ibādat tamām-shud
saaqī tumhāre madh-bhare hoñToñ kā shukriya
bāda-kashī kī saarī halāvat tamām-shud
TuuTī hai aaj saañs kī Dorī to yuuñ huā
an-dekhī manziloñ kī masāfat tamām-shud
bujhte hue charāġh kī sūrat havā huuñ maiñ
ik ḳhūb-rū vajūd kī tāqat tamām-shud
ai bārgāh-e-husn koī faisla to kar
is nā-murād-e-ishq kī hujjat tamām-shud
'arshad' mujhe to ġhaib se aatī hai ab sadā
ibn-e-turāb ab tirī mohlat tamām-shud