Arshad Mahmood Arshad

kahin to phenk hi denge ye bar sanson ka

Arshad Mahmood Arshad

Sargodha, Punjab, Pakistan

1975
kahīñ to pheñk hī deñge ye baar sāñsoñ kā
uThā.e bojh jo phirte haiñ yaar sāñsoñ kā
anā ġhurūr takabbur hayāt kuchh bhī nahīñ
ki saarā khel hai pyāre ye chaar sāñsoñ kā
chalo ye zindagī zinda-dilī se jiite haiñ
baḌhegā is tarah kuchh to vaqār sāñsoñ kā
gulābī hoñT vo hoñToñ pe rakh ke kahtī thī
sadā rahegā ye tujh par ḳhumār sāñsoñ kā
baḌe qarīb se guzrī hai maut chhū ke tujhe
jo ho sake koī sadqa utaar sāñsoñ kā
havā ye vajd meñ aa kar diye se kahne lagī
ki ab tū sah nahīñ pā.egā vaar sāñsoñ kā
ham is ko zindagī samjheñ to kis tarah 'arshad'
kisī ke haath meñ hai iḳhtiyār sāñsoñ kā
Top Urdushayar.com