taarī rahegā soch pe vahshat kā bhuut kyā
TūTegā kisī taur ye shab kā sukūt kyā
paḌtī nahīñ hai aañkh ke sāhil pe surḳh dhuup
kartā maiñ ārzūoñ ke lāshe hanūt kyā
tum ne kahā to zahar bhī piinā paḌā mujhe
ab is se baḌh ke duuñ tumheñ sach kā subūt kyā
kaise kapās ke liye gandum ko chhoḌ duuñ
miTtī nahīñ hai bhuuk to kātūñ maiñ suut kyā
merī nazar bhī tālib-e-dīdār-e-hīr hai
malnā paḌegā jism pe mujh ko bhabūt kyā
'arshad' hamāre haath se phislegī ek din
pahle bachā sakā koī sāñsoñ kī huut kyā