karb chehroñ pe sajāte hue mar jaate haiñ
ham vatan chhoḌ ke jaate hue mar jaate haiñ
zindagī ek kahānī ke sivā kuchh bhī nahīñ
log kirdār nibhāte hue mar jaate haiñ
umr-bhar jin ko mayassar nahīñ hotī manzil
ḳhaak rāhoñ meñ uḌāte hue mar jaate haiñ
kuchh parinde haiñ jo sūkhe hue dariyāoñ se
ilm kī pyaas bujhāte hue mar jaate haiñ
zinda rahte haiñ ka.ī log musāfir kī tarah
jo safar meñ kahīñ jaate hue mar jaate haiñ
un kā paiġhām milā kartā hai ġhairoñ se mujhe
vo mire paas ḳhud aate hue mar jaate haiñ
jin ko apno se tavajjoh nahīñ miltī 'jāved'
haath ġhairoñ se milāte hue mar jaate haiñ