gul ne ḳhushbū ko taj diyā na rahā
ḳhud se ḳhud ko kiyā judā na rahā
raat dekhe safar ke ḳhvāb bahut
pau phaTī jab to hausla na rahā
qāfila us ke dam-qadam se thā
chal diyā vo to qāfila na rahā
rabt us kā zamāñ se kyā rahtā
jab zamīñ hī se silsila na rahā
tark kar ḳhāmushī kā maslak sun
ho gayā jo bhī be-sadā na rahā
umr bhar us ne bevafā.ī kī
umr se bhī vo bā-vafā na rahā
aañkh kholī to dūriyāñ thiiñ bahut
aañkh mīchī to fāsla na rahā
kis kī ḳhushbū ne bhar diyā thā use
us ke andar koī ḳhalā na rahā