Wazir Agha

jabin-e-sang pe likkha mera fasana gaya

Wazir Agha

Sargodha, Punjab, Pakistan

1922-2010
jabīn-e-sañg pe likkhā mirā fasāna gayā
maiñ rahguzar thā mujhe rauñd kar zamāna gayā
naqāb oḌh ke aa.e the raat ke qazzāq
pighaltī shaam se sab dhuup kā ḳhazāna gayā
kise ḳhabar vo ravāna bhī ho sakā ki nahīñ
tumhāre shahr se jab us kā āb-o-dāna gayā
vo chal diyā to nigāhoñ se ki diloñ se ġhurūr
laboñ se zahr havāoñ se tāziyāna gayā
ye jāntā huuñ ki tū ne liyā thā rok use
magar vo ātishīñ aañsū mujhe jalā na gayā
maiñ ek Doltā sāgar mujhe uThātā kaun
ghaTā uThā ke chalī thī magar chalā na gayā
kahāñ gayā maiñ bichhaḌ kar kise ḳhabar hogī
jo ek baar yahāñ se huā ravāna gayā
Top Urdushayar.com