dhaar sī taaza lahū kī shabnam-afshānī meñ hai
sub.h ik bhīgī huī palkoñ kī tābānī meñ hai
aañkh hai labrez shāyad ro paḌegā tū abhī
jaise zillat kā mudāvā aañkh ke paanī meñ hai
maiñ nahīñ haarā tū mere hausle kī daad de
ik nayā azm-e-safar is ḳhasta-sāmānī meñ hai
be-samar be-rañg mausam barf kī sūrat safed
aur dil umDe hue rañgoñ kī tuġhyānī meñ hai
aag hai siine meñ tere maujzan tū yaad rakh
sham.a sī raushan añdhere ghar kī vīrānī meñ hai
an-ginat rañgoñ ke par bikhre paḌe haiñ har taraf
vaqt kā ghāyal parinda phir se jaulānī meñ hai
kis ghane jañgal meñ jā kar ab chhupeñ bastī ke log
aañkh sī ubhrī huī sūraj kī peshānī meñ hai