manzar thā raakh aur tabī.at udaas thī
har-chand terī yaad mire aas paas thī
mīloñ thī ik jhulastī huī dopahar kī qaash
siine meñ band saiñkaḌoñ sadiyoñ kī pyaas thī
uTThe nahā ke sho.aloñ meñ apne to ye khulā
saare jahāñ meñ phailī huī terī baas thī
kaise kahūñ ki maiñ ne kahāñ kā safar kiyā
ākāsh be-charāġh zamīñ be-libās thī
ab dhuul meñ aTī huī rāhoñ pe hai safar
vo din ga.e ki pāñv-tale narm ghaas thī