sitāra to kabhī kā jal-bujhā hai
ye aañsū sā tirī palkoñ pe kyā hai
daraḳhtoñ ko to chup honā thā ik din
parindoñ ko magar kyā ho gayā hai
dhanak dīvār ke raste meñ haa.il
vagarna jast-bhar kā fāsla hai
use band aañkh se maiñ dekh to luuñ
magar phir umr-bhar kā fāsla hai
chalo apnī bhī jānib ab chaleñ ham
ye rasta der se suunā paḌā hai