dhuup ke saath gayā saath nibhāne vaalā
ab kahāñ aa.egā vo lauT ke aane vaalā
ret par chhoḌ gayā naqsh hazāroñ apne
kisī pāgal kī tarah naqsh miTāne vaalā
sabz shāḳheñ kabhī aise to nahīñ chīḳhtī haiñ
kaun aayā hai parindoñ ko Darāne vaalā
āriz-e-shām kī surḳhī ne kiyā faash use
parda-e-abr meñ thā aag lagāne vaalā
safar-e-shab kā taqāzā hai mire saath raho
dasht pur-haul hai tūfān hai aane vaalā
mujh ko dar-parda sunātā rahā qissa apnā
agle vaqtoñ kī hikāyāt sunāne vaalā
shabnamī ghaas ghane phuul laraztī kirneñ
kaun aayā hai ḳhazānoñ ko luTāne vaalā
ab to ārām kareñ sochtī āñkheñ merī
raat kā āḳhirī taarā bhī hai jaane vaalā