Saqib Lakhnavi

tirgi nam hai dil walon ke uTh jaane ka

Saqib Lakhnavi

Agra, Uttar pradesh, India

1869-1946
tīrgī naam hai dil vāloñ ke uTh jaane kā
jis ko shab kahte haiñ maqtal hai vo parvāne kā
chal bayābāñ kī taraf jī nahīñ ghabrāne kā
rūh-e-majnūñ se ghar ābād hai vīrāne kā
dīda-e-dost tirī chasm-numā.ī kī qasam
maiñ to samjhā thā ki dar khul gayā maiḳhāne kā
dam-e-āḳhir kī mulāqāt meñ kyā tum se kahūñ
vaqt hī tañg bahut hijr ke afsāne kā
dāman-e-sham.a pe dhabbā na rahā vaah re ishq
ḳhuun ab tak nazar aayā nahīñ parvāne kā
tañg hai sehn-e-jahāñ saath na le bār-e-amal
rāsta miltā hai mushkil se guzar jaane kā
gul-o-āhū chaman-o-dasht meñ kah jaate haiñ kuchh
kahīñ mauqa nahīñ ai dil tire bahlāne kā
roke jaate haiñ rah-e-dost ke chalne vaale
vahī dushman hai jo hamdard hai dīvāne kā
qabr vaale mue mamnūn-e-ziyārat lekin
naam badnām kiyā aap ne vīrāne kā
hijr ne kaun sā paivand lagā rakkhā thā
rāsta mil gayā ḳhanjar ko guzar jaane kā
to shab-e-ġham ko na samjhā ho to maiñ samjhā duuñ
vahī maidān-e-shahādat tire parvāne kā
qissa-e-bāġh hai aur merī masarrat kī umiid
Dhañg aatā nahīñ sayyād ko bahlāne kā
bazm-e-rañgīñ meñ tirī zikr-e-ġham aayā to sahī
ḳhush rahe chheḌne vaalā mire afsāne kā
āshiyāñ ābla-e-bāġh hai ai soḳhta-dil
ik nishāñ chhoḌ chalā huuñ tire jal jaane kā
ibrat-e-aql hai vāraftagī-e-ahl-e-mazāq
hosh vāloñ meñ hai charchā tire dīvāne kā
hasb-e-farmā.ish-e-gardish haiñ ġharīboñ ke mazār
āsmāñ dost hai manzar mire vīrāne kā
hissa-e-baḳht kā maane hai yahī daur-e-falak
baḌh gayā ghuum ke rasta mire paimāne kā
ho gayā ġharq sar-e-sho.ala-e-sham-e-mahfil
ḳhuun ūñchā huā utnā kisī parvāne kā
naza.a ke vaqt jo kahtā huuñ vo samjhe ki nahīñ
bāb-e-avval to yahīñ ḳhatm hai afsāne kā
le pareshānī-e-dil ab hai tirī umr darāz
vaqt khiñchne lagā zulfoñ ke sañvar jaane kā
choT khāne se dabī aag ubhar aa.ī hai
rañg badlā hai mire dil ne sanam-ḳhāne kā
dāġh-e-dil qabr kī zulmat meñ hai be-nūr aisā
jaise dekhā ho charāġh aap ne vīrāne kā
husn aur ishq ke nairañg ḳhudā hī jaane
sham.a jaltī hai ki dil jaltā hai parvāne kā
dekh ḳhūn-e-sar-e-farhād kā rañgīñ patthar
ye nagīna hai banāyā huā dīvāne kā
naza.a ik iid hai rote hue vo aa.e haiñ
ai dil-e-zār yahī vaqt hai mar jaane kā
ahl-e-dil jāgte-sote meñ sunā karte haiñ
vaqt koī nahīñ 'sāqib' mire afsāne kā
Top Urdushayar.com