thī niiñd merī magar us meñ ḳhvāb us kā thā
badan mirā thā badan meñ azaab us kā thā
safīne chand ḳhushī ke zarūr apne the
magar vo sail-e-ġham-e-be-hisāb us kā thā
diye bujhe to havā ko kiyā gayā badnām
qusūr ham ne kiyā ehtisāb us kā thā
ye kis hisāb se kī tū ne raushnī taqsīm
sitāre mujh ko mile māhtāb us kā thā
falak pe kirchiyāñ āñkhoñ meñ motiyā aañsū
jo reza reza huā āftāb us kā thā
mirī zarā sī chamak ko kaḌak ne Tok diyā
savāl tujh se kiyā thā javāb us kā thā
khulī kitāb thī phūloñ-bharī zamīñ merī
kitāb merī thī rañg-e-kitāb us kā thā