Wazir Agha

tera hi rup nazar aae ja-ba-ja mujhko

Wazir Agha

Sargodha, Punjab, Pakistan

1922-2010
tirā hī ruup nazar aa.e jā-ba-jā mujh ko
jo ho sake ye tamāshā na tū dikhā mujh ko
kabhī to koī falak se utar ke paas aa.e
kabhī to Dasne se baaz aa.e fāsla mujh ko
talāsh karte ho phūloñ meñ kaise pāgal ho
uḌā ke le bhī ga.ī sub.h kī havā mujh ko
kise ḳhabar ki sadā kis taraf se aa.egī
kahāñ se aa ke uThā.egā qāfila mujh ko
mirā hī naqsh-e-qadam thā mire ta.āqub meñ
vagarna laakh bulātī tirī sadā mujh ko
sameTtā rahā ḳhud ko maiñ umr-bhar lekin
bikhertā rahā shabnam kā silsila mujh ko
ghulī jo raat kī ḳhushbū to sāzishī jaage
dahaktī āñkhoñ ne ghere meñ le liyā mujh ko
Thahar sakī na agar chāñdnī to kyā ġham hai
yahī bahut hai ki tū yaad aa gayā mujh ko
Top Urdushayar.com