be-sadā dam-ba-ḳhud fazā se Dar
ḳhushk patta hai to havā se Dar
kore kāġhaz kī sādgī pe na jā
guñg lafzoñ kī is ridā se Dar
āsmāñ se na is qadar ghabrā
tū zamīñ kī sazā jazā se Dar
jaane kis khūñT tujh ko le jaa.eñ
shāhzāde nuqūsh-e-pā se Dar
tark-e-dast-e-talab pe mat itrā
apne dil meñ chhupe gadā se Dar
arsh tak bhī uḌaan hai apnī
ham parindoñ kī bad-duā se Dar
aarzū ik na.e janam kī na kar
itnī lambī kaḌī sazā se Dar