zehn-e-rasā kī girheñ magar kholne lage
phir yuuñ huā ki log hameñ taulne lage
āhista baat kar ki havā tez hai bahut
aisā na ho ki saarā nagar bolne lage
umr-e-ravāñ ko paar kiyā tum ne aur ham
rassī ke pul pe paañv rakhā Dolne lage
dastak havā hī de ki ye bandish tamām ho
suune gharoñ meñ koī to ras gholne lage
maiñ ban gayā guhar to mirā is meñ dosh kyā
be-vaj.h mujh ko ḳhaak meñ tum rolne lage