umr kī is naav kā chalnā bhī kyā ruknā bhī kyā
kirmak-e-shab huuñ mirā jalnā bhī kyā bujhnā bhī kyā
ik nazar us chashm-e-tar kā merī jānib dekhnā
āb-shār-e-nūr kā phir ḳhaak par girnā bhī kyā
zaḳhm kā lagnā hameñ darkār thā so is ke ba.ad
zaḳhm kā risnā bhī kyā aur zaḳhm kā bharnā bhī kyā
tere ghar tak aa chukī hai duur ke jañgal kī aag
ab tirā is aag se Darnā bhī kyā laḌnā bhī kyā
dar darīche vā magar bāzār-e-galiyāñ mohr-band
aise zālim shahr meñ jiinā bhī kyā marnā bhī kyā
tujh se ai sañg-e-sadā is reza reza daur meñ
ik zarā se dil kī ḳhātir dostī karnā bhī kyā