na āñkheñ hī jhapaktā hai na koī baat kartā hai
bas ik aañsū ke daane par basar-auqāt kartā hai
shajar ke tan meñ gahrā zaḳhm hai koī vagarna yuuñ
zamīñ par sabz pattoñ kī koī barsāt kartā hai
vo jab chāhe bujhā detā hai sham.eñ bhī sitāre bhī
nagar saarā supurd-e-panja-e-zulmāt kartā hai
vo apnī baat se sad-chāk kartā hai mirā siina
phir apnī baat kī tā-der tāvīlāt kartā hai
vo apnī umr ko pahle piro letā hai Dorī meñ
phir us ke ba.ad gintī umr kī din raat kartā hai