chalo maanā hamīñ be-kārvāñ haiñ
jo juzv-e-kārvāñ the vo kahāñ haiñ
na jaane kaun pīchhe rah gayā hai
manāzir ulTī jānib ko ravāñ haiñ
zamīñ ke taal sab sūkhe paḌe haiñ
parinde āsmāñ-dar-āsmāñ haiñ
sunā hai tishnagī bhī ik duā hai
laboñ par shabd jis ke par-fishāñ haiñ
khule sahrā meñ mat DhūñDo hameñ tum
sadā se ham tumhāre darmiyāñ haiñ