Saqib Lakhnavi

wasl ki ummid baDhte baDhte thak kar rah gai

Saqib Lakhnavi

Agra, Uttar pradesh, India

1869-1946
vasl kī ummīd baḌhte baḌhte thak kar rah ga.ī
sub.h-e-kāzib aur kyā kartī chamak kar rah ga.ī
dil shab-e-ġham kaaT laayā dam huā lekin havā
ik kalī thī jo sahar hote mahak kar rah ga.ī
nā-shanās-e-rū-e-ḳhush-hālī hai tab-e-ġham-nasīb
jab masarrat sāmne aa.ī jhijak kar rah ga.ī
mujh ko jalne de abhī ai maut kyuuñ duniyā kahe
aag kaisī thī jo siine meñ bhaḌak kar rah ga.ī
koī kyā dekhe bahār-e-rū-e-qātil bād-e-zab.h
kyuuñ khule vo aañkh jo hasrat se tak kar rah ga.ī
mere dil ke zaḳhm aur un kī shamātat dekhiye
hañs diye kisht-e-tamannā jab lahak kar rah ga.ī
kyā tamannā thī ye betābī jise ruknā paḌā
tañg thā sehan-e-qafas bulbul phaḌak kar rah ga.ī
log kahte haiñ khulā thā raat bhar bāb-e-qubūl
kis taraf merī duā 'sāqib' bhaTak kar rah ga.ī
Top Urdushayar.com