bahār aa.ī hai phir vahshat ke sāmāñ hote jaate haiñ
mire siine meñ dāġhoñ ke gulistāñ hote jaate haiñ
mujhe bachpan kar ke dil-dahī bhī hotī jaatī hai
jafā.eñ karte jaate haiñ pashemāñ hote jaate haiñ
kahāñ jaatā hai ai dil shikva-e-mehr-o-vafā karne
vahāñ be-dād karne ke bhī ehsāñ hote jaate haiñ
'nasīm'-e-zinda-dil marne lage haiñ ḳhūb-rūyoñ par
ġhazab hai aise dānish-mand nādāñ hote jaate haiñ