Naseem Bharat Puri

dikhae moajaze gar wo but-e-ayyar chuTki mein

Naseem Bharat Puri

dikhā.e mo.ajaze gar vo but-e-ayyār chuTkī meñ
to bole tā.ir-e-rañg-e-hinā har baar chuTkī meñ
hinā.ī fundaqeñ haiñ surḳh hai sofār chuTkī meñ
khilāyā hai mire qātil ne kyā gulzār chuTkī meñ
sitārī hai tumhārī yā ki naġhmoñ kā ḳhazāna hai
banī mizrāb bhī minqār-e-mūsīqār chuTkī meñ
mile gar ḳhāk-e-dar terī to hai iksīr kī chuTkī
abhī hotā hai achchhā ye dil-e-bīmār chuTkī meñ
liyā thā is zamīñ meñ imtihān-e-tab.a yāroñ se
kiye mauzūñ ye ham ne ai 'nasīm' ash.ār chuTkī meñ
Top Urdushayar.com