hoñge dil-o-jigar meñ nishāñ dekh lījiye
tīr-e-nazar paḌe haiñ kahāñ dekh lījiye
bāġh-e-jināñ meñ lutf-e-aziyyat bhalā kahāñ
duniyā meñ sair-e-jaur-e-butāñ dekh lījiye
aa.heñ nikal rahī haiñ dil-e-dard-nāk se
fauj-e-ġham-o-alam kā nishāñ dekh lījiye
parde hī se na aa.eñ vo bāhar to phir unheñ
kis tarah dekh liije kahāñ dekh lījiye
hindostāñ se chaliye sū-e-karbalā 'nasīm'
vaañ chal ke sair-e-bāġh-e-jināñ dekh lījiye