Naseem Bharat Puri

zikr-e-ifa kuchh nahin wada hi wada humse hai

Naseem Bharat Puri

zikr-e-īfā kuchh nahīñ va.ada hī va.ada ham se hai
raat din shaam o sahar imroz fardā ham se hai
ham na kahte the ki ye jaur-o-jafā achchhī nahīñ
pūchh kuchh roz-e-jazā ab tum se hai yā ham se hai
dūsroñ ke kahne sunñe par na tum jaao na ham
tum se bas kahnā hamārā hai tumhārā ham se hai
sharm-e-vasl-e-ġhair se uThtī nahīñ ūñchī nazar
dard-e-sar kaisā ye sab hīla-bahānā ham se hai
kaun sī ḳhūbī hai ham meñ jis par nāzāñ hoñ 'nasīm'
jo zamāne se burā hai vo bhī achchhā ham se hai
Top Urdushayar.com