rakhnā ḳham-e-gesū meñ yā dil ko rihā karnā
kuchh kah to sahī zālim āḳhir tujhe kyā karnā
kyā tum se ziyāda hai duniyā meñ hasīñ koī
īmān se kah denā insāf zarā karnā
sahnī bhī jafā un kī karnī bhī vafā un se
un kī bhī ḳhushī karnī dil kā bhī kahā karnā
bosa bhī mujhe denā hoñToñ meñ bhī kuchh kahnā
jiine kī davā denā marne kī duā karnā
tirchhī chitvan ne lākhoñ hī kiye bismil
ai turk tirā nāvak kyā jaane ḳhatā karnā
be-dād kā ab shikva bejā hai 'nasīm' un se
thā tum ko mohabbat kā iz.hār hī kyā karnā