betāb haiñ kisī kī nigāheñ naqāb meñ
haiñ bijliyāñ ki kauñd rahī haiñ sahāb meñ
likkhūñgā ḳhat meñ ḳhuub adū kī burā.iyāñ
ho kar ḳhafā vo kuchh na likheñge javāb meñ
ham ko hai un kī fikr to un ko adū kī fikr
donoñ haiñ ek silsila-e-iztirāb meñ
us chheḌ ke nisār ki sun kar savāl-e-vasl
ā.īna rakh diyā mire aage javāb meñ
yāroñ maiñ bū-e-mehr-o-mohabbat nahīñ 'nasīm'
kyā ḳhaak uḌ rahī hai jahān-e-ḳharāb meñ