de deñ abhī kare jo koī ḳhūb-rū pasand
ham ko nahīñ pasand dil-e-ārzū-pasand
mānind-e-ashk ḳhaak meñ āḳhir milā diyā
aa.ī na āsmāñ ko mirī aabrū pasand
tum ne vahāñ raqīb ko pahlū meñ dī jagah
yaañ rah gayā taḌap ke dil-e-ārzū-pasand
ushshāq se vo pūchhte haiñ teġh tol kar
hai zaḳhm-e-sar pasand ki zaḳhm-e-gulū pasand
qurbān is adā ke vo kahte haiñ ai 'nasīm'
aayā hai āshiqoñ meñ hameñ ek tū pasand