jaur-e-paiham kī intihā bhī hai
ek ke ba.ad dūsrā bhī hai
ġhair ne bazm-e-yār meñ ham se
kuchh kahā hai to kuchh sunā bhī hai
shauq se dil mirā karo pāmāl
yahī kam-baḳht kī sazā bhī hai
un kī tirchhī nazar se Dartā huuñ
ye adā hī nahīñ qazā bhī hai
kahte haiñ vo jo pūchhtā huuñ mizāj
aap se koī boltā bhī hai
nahīñ vāqif 'nasīm' se kyā ḳhuub
koī tum par miTā huā bhī hai