Naseem Bharat Puri

kya KHak kahun matlab-e-dildar ke aage

Naseem Bharat Puri

kyā ḳhaak kahūñ matlab-e-dildār ke aage
so aur sunā.egā vo aġhyār ke aage
bolā thā jo āġhāz-e-mohabbat meñ baḌā bol
aayā vahī āḳhir dil-e-bīmār ke aage
rokā hī kiyā zabt-e-mohabbat sar-e-mahfil
sar jhuk hī gayā us but-e-ayyār ke aage
paidā nahīñ duniyā meñ davā-e-maraz-e-ishq
kyā log na hote the is āzār ke aage
fariyādī-e-be-dād-e-jafā jaan ke mujh ko
mahshar meñ vo chalte hue lalkār ke aage
martā hai kasī aur pe ab ġhair sunā hai
bolūñgā kabhī jhuuT na sarkār ke aage
aa jaa.e 'nasīm' us ko tarahhum to ajab kyā
chal le to chaleñ tujh ko tire yaar ke aage
Top Urdushayar.com