jahāñ meñ abhī yuuñ to kyā kyā na hogā
zamīñ par koī tum sā paidā na hogā
sharāb-e-mohabbat ko ai zāhido tum
burā gar kahoge to achchhā na hogā
sar-e-bazm dushnām dushman ko de kar
mujhe tum ne kyā dil meñ kosā na hogā
mirī be-qarārī ko kyā dekhte ho
kabhī barq ko tum ne dekhā na hogā
'nasīm' aur kuchh fikr kiije ḳhudārā
ab is naukrī meñ guzārā na hogā