un ke paikān pe paikān chale aate haiñ
dil meñ ghar karne ko mehmān chale aate haiñ
dekh kar aa.e haiñ kyā aariz o gesū un ke
log hairān pareshān chale aate haiñ
chaar añgul kā vo parcha nahīñ likhte mujh ko
pās-e-aġhyār ke farmān chale aate haiñ
apnī mahfil meñ mujhe dekh ke kahtā hai vo but
kyuuñ mire ghar meñ musalmān chale aate haiñ
bazm-e-aġhyār meñ kis shaḳhs ne gustāḳhī kī
ki vo ḳhāmosh pashemān chale aate haiñ
dosh-e-ahbāb ye aage hai janāza merā
pīchhe sar pīTte armān chale aate haiñ
kyā batā.eñ ki 'nasīm' aate haiñ kyuuñ aap ke ghar
muft hone ko pashemān chale aate haiñ