Naseem Bharat Puri

ghair ke ghar hain wo mehman baDi mushkil hai

Naseem Bharat Puri

ġhair ke ghar haiñ vo mehmān baḌī mushkil hai
jaan jaane ke haiñ sāmān baḌī mushkil hai
kahte haiñ aap haiñ jis baat ke tālib ham se
hai vahī ġhair ko armān baḌī mushkil hai
aur phir kis se kahūñ hāl-e-pareshānī-e-dil
tum to hote ho pareshān baḌī mushkil hai
be-mile kaam bhī chaltā nahīñ milnā bhī zarūr
ġhair se jaan na pahchān baḌī mushkil hai
us ne lī jaan hazāroñ kī ye dam de de kar
ham pe marnā nahīñ āsān baḌī mushkil hai
vo uThā lete haiñ ye rakh rakh ke chhurī gardan par
kaam hotā nahīñ āsān baḌī mushkil hai
rāz-e-dil us but-e-bad-ḳhū se kahūñ yā na kahūñ
baat nāzuk hai vo nādān baḌī mushkil hai
roz kahte ho ki tū kis ke liye hai betāb
jaan kar bante ho anjān baḌī mushkil hai
dostī sahal nahīñ us but-e-bad-ḳhū se 'nasīm'
zid na kar dekh mirī jaan baḌī mushkil hai
Top Urdushayar.com