hijr meñ jab ḳhayāl-e-yār aayā
lab pe naala hazār baar aayā
phir safā.ī kī kaun sī sūrat
aap ke dil meñ jab ġhubār aayā
kījiye zabah khīñchiye ḳhanjar
lījiye ye gunāhgār aayā
bole Thukrā ke mere marqad ko
ab tujhe kis tarah qarār aayā
tū ne hāsil 'nasīm' kuchh na kiyā
kuchh bhī tujh ko na mere yaar aayā