Naseem Bharat Puri

yunhi gar adu ki ghulami karenge

Naseem Bharat Puri

yūñhī gar adū kī ġhulāmī kareñge
vo hāsil baḌī nek-nāmī kareñge
kareñge dalīleñ vahāñ ḳhuub nāseh
unhīñ ko ham apnā payāmī kareñge
ijāzat bhī de un ko tañgī dahan kī
vo kis muñh se shīrīñ-kalāmī kareñge
adū ne kiyā ġhusl-e-sehhat sunā hai
vo jalsa baḌā dhūm-dhāmī kareñge
'alī' kā vasīla hai donoñ jahāñ meñ
'nasīm' aur ham kis ko haamī kareñge
Top Urdushayar.com