jo nabātāt-o-jamādāt pe shak karte haiñ
ai ḳhudā tere kamālāt pe shak karte haiñ
vo jo kahte haiñ dhamāke se jahāñ ḳhalq huā
dar-haqīqat vo samāvāt pe shak karte haiñ
maiñ bhī bachpan meñ tafakkur pe yaqīñ rakhtā thā
mere bachche bhī rivāyāt pe shak karte haiñ
maiñ isī shahr meñ aañsū liye phirtā huuñ jahāñ
peḌ chiḌiyoñ kī munājāt pe shak karte haiñ
apne hisse meñ vo be-faiz sadī hai jis meñ
log valiyoñ kī karāmāt pe shak karte haiñ
is liye ham pe guzartī hai qayāmat har din
ham qayāmat kī alāmāt pe shak karte haiñ
aap ke khet meñ ugtī hai sunahrī gandum
aap kyoñ us kī ināyāt pe shak karte haiñ
jin ko muusā kā patā hai na ḳhabar tuur kī hai
aise bad-baḳht bhī taurāt pe shak karte haiñ
ishq kī ain kā to dasht meñ madfan hī nahīñ
āshiqāñ yūñhī ḳharābāt pe shak karte haiñ
aap jharnoñ kī tilāvat ko nahīñ sun sakte
aap fitrat ke ishārāt pe shak karte haiñ
sirf shā.ir hī nahīñ huuñ maiñ musalmān bhī huuñ
aap kyoñ merī ibādāt pe shak karte haiñ
aap ko chāhiye suqrāt ke baare meñ paḌheñ
aap 'vāsif' ke ḳhayālāt pe shak karte haiñ