jabr ne jab mujhe rusvā sar-e-bāzār kiyā
sabr ne mere mujhe sāhab-e-dastār kiyā
merī lafzoñ kī imārat girī kaam aa.ī mire
merī ġhazloñ ne mire naam ko mīnār kiyā
apne hāthoñ meñ kudūrat kī kudāleñ le kar
mere apnoñ ne mirī zaat ko mismār kiyā
yaad jab aayā koī va.ada-e-ta.amīr mujhe
maiñ ne tab jism kī har por ko me.amār kiyā
aur phir sabz ishāra huā us paar se jab
maiñ ne ik jast meñ dariyā-e-balā paar kiyā
aaj phir ḳhaak bahut roī lipaT kar mujh se
aaj phir qabr ne baabā kī mujhe pyaar kiyā
chāñd ne raat mire saath mire dukh bāñTe
sub.h sūraj ne bhī girya sar-e-dīvār kiyā
aag ashjār ko lagne se ka.ī din pahle
maiñ ne ro ro ke parindoñ ko ḳhabar-dār kiyā
aisā mātam kabhī dariyā kā na dekhā na sunā
jaane kis pyaas ne paanī ko azā-dār kiyā
jab havā dene lagī ThanDe dilāse mujh ko
kuchh charāġhoñ ne bhī afsos kā iz.hār kiyā
dekh kar jaltī huī jhoñpaḌī kal shab 'vāsif'
maiñ ne so.e hue darvesh ko bedār kiyā