Jabbar Wasif

tamam shahr to be-mehr nind so raha tha

Jabbar Wasif

Rahim Yar Khan, Punjab, Pakistan

1975
tamām shahr to be-mehr niiñd so rahā thā
magar maiñ āñkhoñ meñ nok-e-qalam chubho rahā thā
maiñ jāntā thā mire ashk marne vaale haiñ
maiñ jāntā thā ki jo mere saath ho rahā thā
mujhe ḳhabar nahīñ kab āñsūon ko hosh aayā
ḳhabar huī to maiñ zār-o-qatār ro rahā thā
kuchh is liye bhī ḳhudā kī mujhe zarūrat thī
maiñ apne khet meñ gandum ke biij bo rahā thā
ḳhayāl aayā mujhe jab ḳhudā badalne kā
maiñ apne ashkoñ se harf-e-duā bhigo rahā thā
mujhe jagā diyā jab fajr ke mo.azzin ne
darūn-e-ḳhvāb maiñ masjid kā sahn dho rahā thā
samajh rahā thā jise maiñ bhī nuuh kī kashtī
usī kā nāḳhudā logoñ ko ab Dubo rahā thā
thā bā-nasīb bhī aur bad-nasīb bhī 'vāsif'
jo pā rahā thā kisī ko kisī ko kho rahā thā
Top Urdushayar.com